apni mohabbat aam na karna
apnī mohabbat aam na karnā
aisā koī kaam na karnā
ik din tere ho jā.eñge
aisā ḳhayāl-e-ḳhām na karnā
kaam karo to kaam bahut haiñ
aisā vaisā kaam na karnā
baat adū kī koī sun kar
ishq ko tū badnām na karnā
lauT ke aanā ghar ke buddhū
raste hī meñ shaam na karnā
'josh' ye kah do un āñkhoñ se
koī qatl-e-ām na karnā
apni mohabbat aam na karna
aisa koi kaam na karna
ek din tere ho jaenge
aisa KHayal-e-KHam na karna
kaam karo to kaam bahut hain
aisa waisa kaam na karna
baat adu ki koi sun kar
ishq ko tu badnam na karna
lauT ke aana ghar ke buddhu
raste hi mein sham na karna
'josh' ye kah do un aankhon se
koi qatl-e-am na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.