apni mohabbaton ko saliqa mile koi
apnī mohabbatoñ ko salīqa mile koī
is dard-e-lā-davā ko masīhā mile koī
ham ko ga.ī rutoñ kā navishta mile koī
aisā bhī ehtisāb kā lamha mile koī
barsoñ guzar ga.e haiñ isī intizār meñ
maiñ bhī sunūñ jo aap sā lahja mile koī
jhelīñ bahut haiñ rāh-e-mohabbat meñ saḳhtiyāñ
ye soch kar ki ham ko bhī apnā mile koī
ik umr mujh ko jāgtī āñkhoñ ne kyā diyā
so jā.ūñ aur ḳhvāb sā chehra mile koī
pahle samundaroñ se bhañvar ko nikāliye
phir kashtī-e-junūñ ko kinārā mile koī
apni mohabbaton ko saliqa mile koi
is dard-e-la-dawa ko masiha mile koi
hum ko gai ruton ka nawishta mile koi
aisa bhi ehtisab ka lamha mile koi
barson guzar gae hain isi intizar mein
main bhi sunun jo aap sa lahja mile koi
jhelin bahut hain rah-e-mohabbat mein saKHtiyan
ye soch kar ki hum ko bhi apna mile koi
ek umr mujh ko jagti aankhon ne kya diya
so jaun aur KHwab sa chehra mile koi
pahle samundaron se bhanwar ko nikaliye
phir kashti-e-junun ko kinara mile koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.