apni nazar mein hech hai sare jahan ki sair
apnī nazar meñ hech hai saare jahāñ kī sair
dil ḳhush na ho to kis kā tamāsha kahāñ kī sair
ab tak to dekhte rahe joban bahār kā
ā.inda ham kareñge tumhārī ḳhizāñ kī sair
duniyā ke dekhne ke liye aañkh chāhiye
jannat kī sair se hai sivā us makāñ kī sair
kuchh jhūmte haiñ nashshe meñ kuchh haiñ gire paḌe
kuchh aur hī hai mahfil-e-pīr-e-muġhāñ kī sair
kyoñ dekhne lage mirī chashm-e-pur-āb ko
dariyā pe aap kījiye āb-e-ravāñ kī sair
kyoñ aadmī ko ālam-e-bālā kī ho havas
baḌh kar nahīñ zamīn se kuchh āsmāñ kī sair
dillī meñ phuul vāloñ kī hai ek sair 'dāġh'
balde meñ ham ne dekh lī saare jahāñ kī sair
apni nazar mein hech hai sare jahan ki sair
dil KHush na ho to kis ka tamasha kahan ki sair
ab tak to dekhte rahe joban bahaar ka
aainda hum karenge tumhaari KHizan ki sair
duniya ke dekhne ke liye aankh chahiye
jannat ki sair se hai siwa us makan ki sair
kuchh jhumte hain nashshe mein kuchh hain gire paDe
kuchh aur hi hai mahfil-e-pir-e-mughan ki sair
kyon dekhne lage meri chashm-e-pur-ab ko
dariya pe aap kijiye aab-e-rawan ki sair
kyon aadmi ko aalam-e-baala ki ho hawas
baDh kar nahin zamin se kuchh aasman ki sair
dilli mein phul walon ki hai ek sair 'dagh'
balde mein hum ne dekh li sare jahan ki sair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.