apni nazron mein haarna kab tak
apnī nazroñ meñ hārnā kab tak
us ko aksar pukārnā kab tak
ab to khul jaanī chāhiye āñkheñ
raat ko din pukārnā kab tak
phone kar hī liyā tumheñ āḳhir
shaam be-kal guzārnā kab tak
hausla diije himmateñ diije
Dūbte ko ubhārnā kab tak
ab jo kiije vo sab sahī kījiye
ġhalatiyoñ ko sudhārnā kab tak
apni nazron mein haarna kab tak
us ko aksar pukarna kab tak
ab to khul jaani chahiye aankhen
raat ko din pukarna kab tak
phone kar hi liya tumhein aaKHir
sham be-kal guzarna kab tak
hausla dije himmaten dije
Dubte ko ubhaarna kab tak
ab jo kije wo sab sahi kijiye
ghalatiyon ko sudhaarna kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.