apni pahchan koi zamane mein rakh
apnī pahchān koī zamāne meñ rakh
ḳhud ko zaa.e.a na kar kuchh ḳhazāne meñ rakh
raat kī be-libāsī pe mazmūn likh
shaam ke phuul chun ke lifāfe meñ rakh
raushnī kī zarūrat paḌegī tujhe
aag mahfūz kuchh āshiyāne meñ rakh
jāntā huuñ mirā koī masraf nahīñ
ek fashion samajh ke havāle meñ rakh
saare tīroñ ko ik saath zaa.e.a na kar
farq kuchh to añdhere ujāle meñ rakh
apni pahchan koi zamane mein rakh
KHud ko zaea na kar kuchh KHazane mein rakh
raat ki be-libasi pe mazmun likh
sham ke phul chun ke lifafe mein rakh
raushni ki zarurat paDegi tujhe
aag mahfuz kuchh aashiyane mein rakh
jaanta hun mera koi masraf nahin
ek fashion samajh ke hawale mein rakh
sare tiron ko ek sath zaea na kar
farq kuchh to andhere ujale mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.