apni palkon se uske ishaare uTha
apnī palkoñ se us ke ishāre uThā
os kī uñgliyoñ se sharāre uThā
aisā lagtā hai dohrā rahā huuñ maiñ kuchh
zindagī ke purāne shumāre uThā
raushnī kā vo kaisā ajab shor thā
is kināre huā us kināre uThā
āḳhirī hai safar vo subuk-sar chale
us ke dāman se apne sitāre uThā
aañkh kī us badan par lakīreñ khiñchīñ
har ġhazal se na.e isti.āre uThā
guftugū manzaroñ kī tarah khul ke ho
ab na tashbīh aur isti.āre uThā
terā maqsad hai kyā maiñ samajh jā.ūñgā
koī mausam hī kī baat pyāre uThā
rang se rang milne na paa.e kahīñ
ek ek kar ke saare nazāre uThā
jhiil patvār vāpas na degī kabhī
apnī kashtī ab apne sahāre uThā
aag ke ik qalam kī siyāhī lagā
jo dhuāñ 'nūr' gañgā kināre uThā
apni palkon se us ke ishaare uTha
os ki ungliyon se sharare uTha
aisa lagta hai dohra raha hun main kuchh
zindagi ke purane shumare uTha
raushni ka wo kaisa ajab shor tha
is kinare hua us kinare uTha
aaKHiri hai safar wo subuk-sar chale
us ke daman se apne sitare uTha
aankh ki us badan par lakiren khinchin
har ghazal se nae istiare uTha
guftugu manzaron ki tarah khul ke ho
ab na tashbih aur istiare uTha
tera maqsad hai kya main samajh jaunga
koi mausam hi ki baat pyare uTha
rang se rang milne na pae kahin
ek ek kar ke sare nazare uTha
jhil patwar wapas na degi kabhi
apni kashti ab apne sahaare uTha
aag ke ek qalam ki siyahi laga
jo dhuan 'nur' ganga kinare uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.