apni pasand chhoD di uski KHarid li
apnī pasand chhoḌ dī us kī ḳharīd lī
virse kā khet bech ke koThī ḳharīd lī
ik umr apne beToñ ko uñglī thamā.ī phir
būḌhe ne ik dukān se lāThī ḳharīd lī
vaise to nirḳh kam hī the gandum ke is baras
aa.ī thī tere gaañv se mahñgī ḳharīd lī
ham dostoñ ke pyaar meñ ham-rañg haiñ libās
aur log kah rahe haiñ ki vardī ḳharīd lī
tasvīr apnī ḳhud hī musavvir ko bhā ga.ī
ḳhud gallery meñ pesh kī ḳhud hī ḳharīd lī
ai hijr-zād tum ko bhī hai ārzū-e-vasl
ai dasht-zād tum ne bhī kashtī ḳharīd lī
dar-asl mas.ala to hai chalnā ghaḌī ke saath
is se ġharaz nahīñ hai ki kaisī ḳharīd lī
apni pasand chhoD di us ki KHarid li
wirse ka khet bech ke koThi KHarid li
ek umr apne beTon ko ungli thamai phir
buDhe ne ek dukan se laThi KHarid li
waise to nirKH kam hi the gandum ke is baras
aai thi tere ganw se mahngi KHarid li
hum doston ke pyar mein ham-rang hain libas
aur log kah rahe hain ki wardi KHarid li
taswir apni KHud hi musawwir ko bha gai
KHud gallery mein pesh ki KHud hi KHarid li
ai hijr-zad tum ko bhi hai aarzu-e-wasl
ai dasht-zad tum ne bhi kashti KHarid li
dar-asl masala to hai chalna ghaDi ke sath
is se gharaz nahin hai ki kaisi KHarid li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.