apni qismat mein gham-e-arsa-e-hijran hai to kya
apnī qismat meñ ġham-e-arsa-e-hijrāñ hai to kyā
ashk minnat-kash-e-gahvāra-e-mizhgāñ hai to kyā
husn arbāb-e-haqīqat ko hai nāzūra-e-haq
shaiḳh jī aap ko andesha-e-īmāñ hai to kyā
vaqt ke saath fuzūñ hotā hai ehsās-e-ziyāñ
fahm-o-idrāk hī ġhārat-gar-e-insāñ hai to kyā
be-muhābāna masarrat ke ta.āqub meñ na dauḌ
dām-e-nairañg pas-e-sarhad-e-imkāñ hai to kyā
ham to ik umr se haiñ muntazir-e-marg-e-ḳhizāñ
ab ke logoñ meñ agar zikr-e-bahārāñ hai to kyā
mausam aatā hai to kāñToñ hī meñ gul khilte haiñ
dast-e-gul-chīñ meñ agar nazm-e-gulistāñ hai to kyā
zer-e-ta.amīr isī haal meñ hai mustaqbil
is meñ kuchh reḳht kā pahlū bhī numāyāñ hai to kyā
apni qismat mein gham-e-arsa-e-hijran hai to kya
ashk minnat-kash-e-gahwara-e-mizhgan hai to kya
husn arbab-e-haqiqat ko hai nazura-e-haq
shaiKH ji aap ko andesha-e-iman hai to kya
waqt ke sath fuzun hota hai ehsas-e-ziyan
fahm-o-idrak hi ghaarat-gar-e-insan hai to kya
be-muhabana masarrat ke taaqub mein na dauD
dam-e-nairang pas-e-sarhad-e-imkan hai to kya
hum to ek umr se hain muntazir-e-marg-e-KHizan
ab ke logon mein agar zikr-e-bahaaran hai to kya
mausam aata hai to kanTon hi mein gul khilte hain
dast-e-gul-chin mein agar nazm-e-gulistan hai to kya
zer-e-tamir isi haal mein hai mustaqbil
is mein kuchh reKHt ka pahlu bhi numayan hai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.