apni sathi KHarid lai hun
apnī sāthī ḳharīd laa.ī huuñ
maiñ udāsī ḳharīd laa.ī huuñ
kal laTaknā hai mujh ko pañkhe se
aaj rassī ḳharīd laa.ī huuñ
āñsuoñ meñ bhigo ke khā.ūñgī
sūkhī roTī ḳharīd laa.ī huuñ
vo mujhe yaad to karegā nā
dekh hichkī ḳharīd laa.ī huuñ
terā tohfa samajh ke pahnūñgī
surḳh chūḌī ḳharīd laa.ī huuñ
haañ tirā hijr kāTnā hai mujhe
shaal kaalī ḳharīd laa.ī huuñ
ab december meñ kaun bhejegā
apnī jarsī ḳharīd laa.ī huuñ
apnī āñkhoñ ko bech kar 'nāhīd'
ek khiḌkī ḳharīd laa.ī huuñ
apni sathi KHarid lai hun
main udasi KHarid lai hun
kal laTakna hai mujh ko pankhe se
aaj rassi KHarid lai hun
aansuon mein bhigo ke khaungi
sukhi roTi KHarid lai hun
wo mujhe yaad to karega na
dekh hichki KHarid lai hun
tera tohfa samajh ke pahnungi
surKH chuDi KHarid lai hun
han tera hijr kaTna hai mujhe
shaal kali KHarid lai hun
ab december mein kaun bhejega
apni jarsi KHarid lai hun
apni aankhon ko bech kar 'nahid'
ek khiDki KHarid lai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.