apni sada ko rang-e-shanasai de gaya
apnī sadā ko rang-e-shanāsā.ī de gayā
andhā faqīr shahr ko bīnā.ī de gayā
aaseb thā yā raaz koī chīḳhte hue
ujḌe makāñ ko quvvat-e-goyā.ī de gayā
jannat kī raunaqoñ ke pate baañT kar ḳhudā
rāhib ko ḳhānqāh kī tanhā.ī de gayā
gaañv ke peḌ shahr kā shamshān le gayā
saaya churā ke baam kī parchhā.ī de gayā
bārish meñ goriyoñ ke badan TūTte rahe
būñdoñ meñ kaun gūñjtī shahnā.ī de gayā
apni sada ko rang-e-shanasai de gaya
andha faqir shahr ko binai de gaya
aaseb tha ya raaz koi chiKHte hue
ujDe makan ko quwwat-e-goyai de gaya
jannat ki raunaqon ke pate banT kar KHuda
rahib ko KHanqah ki tanhai de gaya
ganw ke peD shahr ka shamshan le gaya
saya chura ke baam ki parchhai de gaya
barish mein goriyon ke badan TuTte rahe
bundon mein kaun gunjti shahnai de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.