apni surat ka hi didar dobara kar len
apnī sūrat kā hī dīdār dobāra kar leñ
Dūbte chāñd kā ham phir se nazāra kar leñ
zindagī itnī ġhanīmat to nahīñ jis ke liye
ahd-e-kam-zarf kī har baat gavāra kar leñ
shaiḳh jis 'ahd kī detā hai misāleñ ham ko
kaise us 'ahd ko ham zinda dobāra kar leñ
'umr bhar ahl-e-tarab luuT ke sāhil ke maze
kyā javāñ-mardī hai tūfāñ se kināra kar leñ
āsmānoñ pe to insān nahīñ rah sakte
jaise mumkin ho zamīñ par hī guzārā kar leñ
ab to bīmār-e-mohabbat kī hai hālat nāzuk
chārasāzoñ se kaho vo koī chārā kar leñ
jis ke īmāñ meñ hī insāñ se ho nafrat shāmil
kis tarah aise sitam-gar se guzāra kar leñ
ab to is shahr meñ aisā koī insān nahīñ
jis se mil kar hī kabhī zikr tumhārā kar leñ
Duub jaate haiñ ghaḌī pal meñ sitāre 'aslam'
kis tavaqqo pe use aañkh kā taara kar leñ
apni surat ka hi didar dobara kar len
Dubte chand ka hum phir se nazara kar len
zindagi itni ghanimat to nahin jis ke liye
ahd-e-kam-zarf ki har baat gawara kar len
shaiKH jis 'ahd ki deta hai misalen hum ko
kaise us 'ahd ko hum zinda dobara kar len
'umr bhar ahl-e-tarab luT ke sahil ke maze
kya jawan-mardi hai tufan se kinara kar len
aasmanon pe to insan nahin rah sakte
jaise mumkin ho zamin par hi guzara kar len
ab to bimar-e-mohabbat ki hai haalat nazuk
chaarasazon se kaho wo koi chaara kar len
jis ke iman mein hi insan se ho nafrat shamil
kis tarah aise sitam-gar se guzara kar len
ab to is shahr mein aisa koi insan nahin
jis se mil kar hi kabhi zikr tumhaara kar len
Dub jate hain ghaDi pal mein sitare 'aslam'
kis tawaqqo pe use aankh ka tara kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.