apni tanhai ki palkon ko bhigo lun pahle
apnī tanhā.ī kī palkoñ ko bhigo luuñ pahle
phir ġhazal tujh pe likhūñ baiTh ke ro luuñ pahle
ḳhvāb ke saath kahīñ kho na ga.ī ho āñkheñ
jab uThūñ so ke to chehre ko TaTolūñ pahle
mere ḳhvāboñ ko hai mausam pe bharosa kitnā
ba.ad meñ phuul khileñ haar piro luuñ pahle
dekhnā hai vo ḳhafā rahtā hai mujh se kab tak
maiñ ne sochā hai ki is baar na bolūñ pahle
dostoñ ne mujhe vo daaġh diye haiñ 'qaisar'
vo bhī aa jaa.eñ to darvāza na kholūñ pahle
apni tanhai ki palkon ko bhigo lun pahle
phir ghazal tujh pe likhun baiTh ke ro lun pahle
KHwab ke sath kahin kho na gai ho aankhen
jab uThun so ke to chehre ko TaTolun pahle
mere KHwabon ko hai mausam pe bharosa kitna
baad mein phul khilen haar piro lun pahle
dekhna hai wo KHafa rahta hai mujh se kab tak
main ne socha hai ki is bar na bolun pahle
doston ne mujhe wo dagh diye hain 'qaisar'
wo bhi aa jaen to darwaza na kholun pahle
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 78)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.