apni wo be-sabaat hasti hai
apnī vo be-sabāt hastī hai
ki sadā nīstī hī hañstī hai
naam sunte ho jis kā vīrāna
vahī saudā.iyoñ kī bastī hai
sham.a se haath khīñch ai gul-gīr
itnī bhī kyā darāz-dastī hai
chashm-e-vahdat se gar koī dekhe
but-parastī bhī haq-parastī hai
apne abr-e-mizha se ai 'joshish'
jā-e-āb aag hī barastī hai
apni wo be-sabaat hasti hai
ki sada nisti hi hansti hai
nam sunte ho jis ka virana
wahi saudaiyon ki basti hai
shama se hath khinch ai gul-gir
itni bhi kya daraaz-dasti hai
chashm-e-wahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
apne abr-e-mizha se ai 'joshish'
ja-e-ab aag hi barasti hai
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.