apni zulfon ko dho rahi hai shab
apnī zulfoñ ko dho rahī hai shab
aur ḳhushbū nicho rahī hai shab
mere ḳhvāboñ kī oḌh kar chādar
mere bistar pe so rahī hai shab
ab añdheroñ se jañg kī ḳhātir
kuchh charāġhoñ ko bo rahī hai shab
sub.h-e-nau ke qarīb aate hī
apnā asitiv kho rahī hai shab
din ke sadmoñ ko sah rahā hai din
raat kā bojh Dho rahī hai shab
apni zulfon ko dho rahi hai shab
aur KHushbu nicho rahi hai shab
mere KHwabon ki oDh kar chadar
mere bistar pe so rahi hai shab
ab andheron se jang ki KHatir
kuchh charaghon ko bo rahi hai shab
subh-e-nau ke qarib aate hi
apna asitiw kho rahi hai shab
din ke sadmon ko sah raha hai din
raat ka bojh Dho rahi hai shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.