apnon hi pe hoti hai har mashq-e-jafa pahle
apnoñ hī pe hotī hai har mashq-e-jafā pahle
kī chaak bahāroñ ne phūloñ kī qabā pahle
us ke liye uTThe the go dast-e-duā pahle
bīmār kī qismat se aa pahuñchī qazā pahle
ab un kī jafāoñ kā kyoñ dahr se shikva hai
Daalī thī hamīñ ne to buniyād-e-vafā pahle
mahsūs ye hotā hai jaise kabhī dekhā ho
ai dost magar tujh ko dekhā to na thā pahle
bīmār-e-mohabbat ke andāz batāte haiñ
tadbīr-o-davā āḳhir taqdīr-o-duā pahle
kyā fikr hai dīvāne mil jā.eñge phir vo bhī
tū chāk-e-garebāñ ko dāman se milā pahle
'shauq' us ke tajassus meñ ye haal bhī guzrā hai
pūchhā hai zamāne se apnā hī patā pahle
apnon hi pe hoti hai har mashq-e-jafa pahle
ki chaak bahaaron ne phulon ki qaba pahle
us ke liye uTThe the go dast-e-dua pahle
bimar ki qismat se aa pahunchi qaza pahle
ab un ki jafaon ka kyon dahr se shikwa hai
Dali thi hamin ne to buniyaad-e-wafa pahle
mahsus ye hota hai jaise kabhi dekha ho
ai dost magar tujh ko dekha to na tha pahle
bimar-e-mohabbat ke andaz batate hain
tadbir-o-dawa aaKHir taqdir-o-dua pahle
kya fikr hai diwane mil jaenge phir wo bhi
tu chaak-e-gareban ko daman se mila pahle
'shauq' us ke tajassus mein ye haal bhi guzra hai
puchha hai zamane se apna hi pata pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.