apnon ke darmiyan hai magar be-aman sa
apnoñ ke darmiyāñ hai magar be-amān sā
dil bhī sitam-rasīda hai hindostān sā
nā-mehrbāñ hai vaqt magar ek mehrbāñ
sāya-fagan hai sar pe mire āsmān sā
aġhyār tang-dil haiñ to apne munāfiqīn
merā bhī haal zaar hai urdu zabān sā
muhtāt qurbatoñ kā maza hī ajiib hai
maiñ ḳhush-gumān sā huuñ na to bad-gumān sā
ālām-o-sānehāt-o-havādis ke rū-ba-rū
kab tak ye musht-e-ḳhāk banegā chaTān sā
sail-e-shikast-e-ḳhvāb guzar to gayā magar
āñkhoñ meñ rah gayā hai lahū kā nishān sā
apnā safar havāoñ ke rahm-o-karam pe hai
hastī safīna-rang hai tan bādbān sā
is daur meñ sukūn-o-qarār-o-qiyām-e-amn
'ḳhālid' mujhe to lagtā hai vahm-o-gumān sā
apnon ke darmiyan hai magar be-aman sa
dil bhi sitam-rasida hai hindostan sa
na-mehrban hai waqt magar ek mehrban
saya-fagan hai sar pe mere aasman sa
aghyar tang-dil hain to apne munafiqin
mera bhi haal zar hai urdu zaban sa
muhtat qurbaton ka maza hi ajib hai
main KHush-guman sa hun na to bad-guman sa
aalam-o-sanehat-o-hawadis ke ru-ba-ru
kab tak ye musht-e-KHak banega chaTan sa
sail-e-shikast-e-KHwab guzar to gaya magar
aankhon mein rah gaya hai lahu ka nishan sa
apna safar hawaon ke rahm-o-karam pe hai
hasti safina-rang hai tan baadban sa
is daur mein sukun-o-qarar-o-qiyam-e-amn
'KHalid' mujhe to lagta hai wahm-o-guman sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.