apnon ne kyon zaKHm lagae main bhi sochun tu bhi soch
apnoñ ne kyoñ zaḳhm lagā.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
kyoñ ye aise mausam aa.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
Duub gayā kyoñ raushan sūraj tārīkī ke ġhāroñ meñ
zulm ke bādal kyoñ lahrā.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
ḳhuuñ de kar gulzār kiyā hai gulshan ke har ḳhitte ko
amn-o-amāñ kyoñ raah na paa.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
āñkhoñ ke sab motī daane ā.īne haiñ bātin ke
ghar kā bhedī lanka Dhaa.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
ḳhushiyoñ kī ik naar navelī chham-chham nāche mahloñ meñ
apne ghar tak kaise aa.e maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
apnon ne kyon zaKHm lagae main bhi sochun tu bhi soch
kyon ye aise mausam aae main bhi sochun tu bhi soch
Dub gaya kyon raushan suraj tariki ke ghaaron mein
zulm ke baadal kyon lahrae main bhi sochun tu bhi soch
KHun de kar gulzar kiya hai gulshan ke har KHitte ko
amn-o-aman kyon rah na pae main bhi sochun tu bhi soch
aankhon ke sab moti dane aaine hain baatin ke
ghar ka bhedi lanka Dhae main bhi sochun tu bhi soch
KHushiyon ki ek nar naweli chham-chham nache mahlon mein
apne ghar tak kaise aae main bhi sochun tu bhi soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.