apnon ne ujaDa hai chaman jaan gae hain
apnoñ ne ujāḌā hai chaman jaan ga.e haiñ
pardoñ meñ chhupā kaun hai pahchān ga.e haiñ
taptī huī saḌkoñ pe safar ham ne kiyā hai
ab barf jo dekhī hai to ausān ga.e haiñ
vishvās kī girtī huī dīvār ke saa.e
qadmoñ se kuchalte hue īmān ga.e haiñ
maanā ki diyā us ne hameñ rutba-e-ālī
jannat se nikāle bhī to insān ga.e haiñ
ghar apnā samajh kar jo rahe farsh-e-zamīñ par
rote hue duniyā se vo mehmān ga.e haiñ
jo phuul kī ḳhushbū ko chhupāne meñ lage the
nākām mohabbat meñ vo insān ga.e haiñ
un se to na thī koī hameñ buġhz-o-adāvat
be-kār sī bātoñ ko burā maan ga.e haiñ
apnon ne ujaDa hai chaman jaan gae hain
pardon mein chhupa kaun hai pahchan gae hain
tapti hui saDkon pe safar hum ne kiya hai
ab barf jo dekhi hai to ausan gae hain
wishwas ki girti hui diwar ke sae
qadmon se kuchalte hue iman gae hain
mana ki diya us ne hamein rutba-e-ali
jannat se nikale bhi to insan gae hain
ghar apna samajh kar jo rahe farsh-e-zamin par
rote hue duniya se wo mehman gae hain
jo phul ki KHushbu ko chhupane mein lage the
nakaam mohabbat mein wo insan gae hain
un se to na thi koi hamein bughz-o-adawat
be-kar si baaton ko bura man gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.