Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apnon ne wo ranj diye hain begane yaad aate hain

Habib Jalib

apnon ne wo ranj diye hain begane yaad aate hain

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    apnoñ ne vo ranj diye haiñ begāne yaad aate haiñ

    dekh ke us bastī hālat vīrāne yaad aate haiñ

    us nagrī meñ qadam qadam pe sar ko jhukānā paḌtā hai

    us nagrī meñ qadam qadam par but-ḳhāne yaad aate haiñ

    āñkheñ pur-nam ho jaatī haiñ ġhurbat ke sahrāoñ meñ

    jab us rim-jhim vaadī ke afsāne yaad aate haiñ

    aise aise dard mile haiñ na.e dayāroñ meñ ham ko

    bichhḌe hue kuchh log purāne yārāne yaad aate haiñ

    jin ke kāran aaj hamāre haal pe duniyā hañstī hai

    kitne zālim chehre jaane pahchāne yaad aate haiñ

    yuuñ na luTī thī galiyoñ daulat apne ashkoñ

    rote haiñ to ham ko apne ġham-ḳhāne yaad aate haiñ

    koī to parcham le kar nikle apne garebāñ 'jālib'

    chāroñ jānib sannāTā hai dīvāne yaad aate haiñ

    apnon ne wo ranj diye hain begane yaad aate hain

    dekh ke us basti ki haalat virane yaad aate hain

    us nagri mein qadam qadam pe sar ko jhukana paDta hai

    us nagri mein qadam qadam par but-KHane yaad aate hain

    aankhen pur-nam ho jati hain ghurbat ke sahraon mein

    jab us rim-jhim ki wadi ke afsane yaad aate hain

    aise aise dard mile hain nae dayaron mein hum ko

    bichhDe hue kuchh log purane yarane yaad aate hain

    jin ke karan aaj hamare haal pe duniya hansti hai

    kitne zalim chehre jaane pahchane yaad aate hain

    yun na luTi thi galiyon daulat apne ashkon ki

    rote hain to hum ko apne gham-KHane yaad aate hain

    koi to parcham le kar nikle apne gareban ka 'jalib'

    chaaron jaanib sannaTa hai diwane yaad aate hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Jalib

    Habib Jalib

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 79)
    • Author : Habib Jalib
    • Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
    • Edition : 2012

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now