Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apnon se koi baat chhupai nahin jati

Khalid Abrar

apnon se koi baat chhupai nahin jati

Khalid Abrar

MORE BYKhalid Abrar

    apnoñ se koī baat chhupā.ī nahīñ jaatī

    ġhairoñ ko kabhī dil batā.ī nahīñ jaatī

    lag jaatī hai ġhalatī se kabhī aag va-lekin

    nā-dīda-o-dānista bujhā.ī nahīñ jaatī

    ta.alīm sikhātī nahīñ aalim ko salīqa

    tahzīb to jāhil ko sikhā.ī nahīñ jaatī

    ruḳh garche havāoñ muāfiq bhī ho phir bhī

    tūfān meñ qindīl jalā.ī nahīñ jaatī

    sīdhī hai ye baat miyāñ aise musalsal

    rone se muqaddar burā.ī nahīñ jaatī

    ai sāhib-e-tadbīr ishāroñ se to hargiz

    dīvār karāhat girā.ī nahīñ jaatī

    mazlūm ke bahte hue pur-josh lahū se

    tasvīr mohabbat banā.ī nahīñ jaatī

    'abrār' samajhte nahīñ āsān hai bilkul

    mushkil meñ paḌī jaan chhuḌā.ī nahīñ jaatī

    apnon se koi baat chhupai nahin jati

    ghairon ko kabhi dil ki batai nahin jati

    lag jati hai ghalati se kabhi aag wa-lekin

    na-dida-o-danista bujhai nahin jati

    talim sikhati nahin aalim ko saliqa

    tahzib to jahil ko sikhai nahin jati

    ruKH garche hawaon ka muafiq bhi ho phir bhi

    tufan mein qindil jalai nahin jati

    sidhi si hai ye baat miyan aise musalsal

    rone se muqaddar ki burai nahin jati

    ai sahib-e-tadbir ishaaron se to hargiz

    diwar karahat ki girai nahin jati

    mazlum ke bahte hue pur-josh lahu se

    taswir mohabbat ki banai nahin jati

    'abrar' samajhte nahin aasan hai bilkul

    mushkil mein paDi jaan chhuDai nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now