aqab se vaar thā āḳhir maiñ aah kyā kartā
kisī bhī aaḌ meñ le kar panāh kyā kartā
ġharīb-e-shahr thā āñkhoñ meñ thī anā zinda
sazā-e-maut na detā to shaah kyā kartā
mire ḳhulūs ko jo sikka-e-ġharaz samjhā
maiñ aise shaḳhs se āḳhir nibāh kyā kartā
yuuñ us ke afv kā dāman bhī dāġh-dār na ho
yahī ḳhayāl thā qasd-e-gunāh kyā kartā
ye taar taar shab-o-roz reza reza hayāt
maiñ apne haal par āḳhir nigāh kyā kartā
jo zindagī se na paa.e najāt kī rāheñ
'shakīl' us ko zamāna tabāh kyā kartā
aqab se war tha aaKHir main aah kya karta
kisi bhi aaD mein le kar panah kya karta
gharib-e-shahr tha aankhon mein thi ana zinda
saza-e-maut na deta to shah kya karta
mere KHulus ko jo sikka-e-gharaz samjha
main aise shaKHs se aaKHir nibah kya karta
yun us ke afw ka daman bhi dagh-dar na ho
yahi KHayal tha qasd-e-gunah kya karta
ye tar tar shab-o-roz reza reza hayat
main apne haal par aaKHir nigah kya karta
jo zindagi se na pae najat ki rahen
'shakil' us ko zamana tabah kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.