aqidat KHulus-o-mohabbat nahin hai
aqīdat ḳhulūs-o-mohabbat nahīñ hai
diloñ meñ vo pahlī sī chāhat nahīñ hai
mire pyaar kī koī qīmat nahīñ hai
mohabbat hai māl-e-tijārat nahīñ hai
nahīñ ḳhālī hai ye jahāñ minnatoñ se
magar pahlī sī ab qayādat nahīñ hai
chale aanā jab bhī kare aap kā dil
mire dil meñ koī kudūrat nahīñ hai
koī kaam ho saḳht-o-dushvār-tar hai
agar us kī chashm-e-ināyat nahīñ hai
yuuñ ḳhud meñ hai gum har koī aaj jaise
kisī ko kisī kī zarūrat nahīñ hai
kahāñ le ke baiThe ho tum rishte naate
yahāñ bhaa.ī bhaa.ī meñ ulfat nahīñ hai
difā apnā koī kare bhī to kaise
ki vo hausla vo shujā.at nahīñ hai
na haiñ mohtasib vo na hai daar koī
magar mujh meñ sach kī jasārat nahīñ hai
tirī kār-farmā.iyāñ dekhne kī
kisī bhī nazar meñ basārat nahīñ hai
banā vaqt 'anvar' ke zaḳhmoñ kā marham
tirī chārāgar ab zarūrat nahīñ hai
aqidat KHulus-o-mohabbat nahin hai
dilon mein wo pahli si chahat nahin hai
mere pyar ki koi qimat nahin hai
mohabbat hai mal-e-tijarat nahin hai
nahin KHali hai ye jahan minnaton se
magar pahli si ab qayaadat nahin hai
chale aana jab bhi kare aap ka dil
mere dil mein koi kudurat nahin hai
koi kaam ho saKHt-o-dushwar-tar hai
agar us ki chashm-e-inayat nahin hai
yun KHud mein hai gum har koi aaj jaise
kisi ko kisi ki zarurat nahin hai
kahan le ke baiThe ho tum rishte nate
yahan bhai bhai mein ulfat nahin hai
difa apna koi kare bhi to kaise
ki wo hausla wo shujaat nahin hai
na hain mohtasib wo na hai dar koi
magar mujh mein sach ki jasarat nahin hai
teri kar-farmaiyan dekhne ki
kisi bhi nazar mein basarat nahin hai
bana waqt 'anwar' ke zaKHmon ka marham
teri chaaragar ab zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.