aql ke dushman bhi hum Thahre dil ka bhi nuqsan kiya
aql ke dushman bhī ham Thahre dil kā bhī nuqsān kiyā
zauq-e-talab kī aaḌ meñ 'hairat' nafs ne kyā hairān kiyā
ḳhalq kiyā hogā aadam ko vāqa.ī hazrat-e-yazdāñ ne
lekin us kā naam batāo jis ne use insān kiyā
raam the maryāda purushottam raam kī bāteñ rahne do
aur batāo is duniyā meñ kis ne kis kā maan kiyā
ham kuchh bhī to nahīñ the lekin aapā yaar burī shai hai
pahroñ apnī yaad meñ ro.e jab bhī terā dhyān kiyā
ab ye takalluf bhī duniyā meñ log kahāñ farmāte haiñ
tū ne pūchhā haal hamārā yaar baḌā ehsān kiyā
dil to isī ḳhātir hotā hai kyā ye tumheñ ma.alūm na thā
'hairat' kyoñ barbādī-e-dil par jī itnā halkān kiyā
aql ke dushman bhi hum Thahre dil ka bhi nuqsan kiya
zauq-e-talab ki aaD mein 'hairat' nafs ne kya hairan kiya
KHalq kiya hoga aadam ko waqai hazrat-e-yazdan ne
lekin us ka nam batao jis ne use insan kiya
ram the maryaada purushottam ram ki baaten rahne do
aur batao is duniya mein kis ne kis ka man kiya
hum kuchh bhi to nahin the lekin aapa yar buri shai hai
pahron apni yaad mein roe jab bhi tera dhyan kiya
ab ye takalluf bhi duniya mein log kahan farmate hain
tu ne puchha haal hamara yar baDa ehsan kiya
dil to isi KHatir hota hai kya ye tumhein malum na tha
'hairat' kyon barbaadi-e-dil par ji itna halkan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.