aql ki aisi tabedari hai
aql kī aisī tābedārī hai
ḳhvāhishoñ meñ bhī inkisārī hai
chal paḌī hai ajal kī rāhoñ par
zindagī be-ḳhabar savārī hai
dil se apne jo haar jaate haiñ
saarī duniyā unhīñ se haarī hai
is ma.īshat meñ kāmyābī kā raaz
kaun kitnā baḌā juārī hai
diin samjhe haiñ jis ko aap 'faroġh'
shaiḳh jī kī dukān-dārī hai
aql ki aisi tabedari hai
KHwahishon mein bhi inkisari hai
chal paDi hai ajal ki rahon par
zindagi be-KHabar sawari hai
dil se apne jo haar jate hain
sari duniya unhin se haari hai
is maishat mein kaamyabi ka raaz
kaun kitna baDa juari hai
din samjhe hain jis ko aap 'farogh'
shaiKH ji ki dukan-dari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.