aql ki jaan par ban aai hai
aql kī jaan par ban aa.ī hai
ishq se zor-āzmā.ī hai
husn-e-zā hai jamāl kā pindār
husn-e-pindār ḳhud-numā.ī hai
lājvantī ko hai gumān-e-nazar
ham ne dekhā nahīñ lajā.ī hai
jins-e-dil kā na thā koī gāhak
aap ne kis liye churā.ī hai
haath yārab duā meñ phailānā
qat-e-ehsās-e-nā-rasā.ī hai
qahr se aḳhz bhaap kī tāqat
husn se vasf-e-kahrubā.ī hai
DhūñDhtī haiñ vo munfa.il nazreñ
daad mahfil se uTh ke paa.ī hai
ishq kyā jurm hai ki iḳhfā ko
aap ne mushkil ye banā.ī hai
kah rahī hai hikāyat-e-taimūr
lañg uzr-e-shikasta-pā.ī hai
hai hamāre liye ḳhudā kaafī
aap ke vāste ḳhudā.ī hai
ḳhalq ke husn ḳhalq se behtar
aap kī vaz-e-kaj-adā.ī hai
aql ki jaan par ban aai hai
ishq se zor-azmai hai
husn-e-za hai jamal ka pindar
husn-e-pindar KHud-numai hai
lajwanti ko hai guman-e-nazar
hum ne dekha nahin lajai hai
jins-e-dil ka na tha koi gahak
aap ne kis liye churai hai
hath yarab dua mein phailana
qat-e-ehsas-e-na-rasai hai
qahr se aKHz bhap ki taqat
husn se wasf-e-kahrubai hai
DhunDhti hain wo munfail nazren
dad mahfil se uTh ke pai hai
ishq kya jurm hai ki iKHfa ko
aap ne mushkil ye banai hai
kah rahi hai hikayat-e-taimur
lang uzr-e-shikasta-pai hai
hai hamare liye KHuda kafi
aap ke waste KHudai hai
KHalq ke husn KHalq se behtar
aap ki waz-e-kaj-adai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.