aql-o-danish mein kisi se nahin kamtar hum log
aql-o-dānish meñ kisī se nahīñ kamtar ham log
vaqt vāqif hai ki haiñ kitne qad-āvar ham log
kaise Dar jā.eñge dhamkī se tirī ai nādāñ
kyā tū vāqif nahīñ haiñ kitne dilāvar ham log
ham musalmān haiñ aur paḌhte haiñ haq kā kalima
saarī duniyā ke taqābul meñ haiñ bartar ham log
garche muflis haiñ magar daulat-e-dīñ rakhte haiñ
dekh kar ham ko na samjheñ ki haiñ kamtar ham log
sāmne lashkar-e-bātil thā hazāroñ kā magar
DaT ga.e haq ke liye bas the bahattar ham log
mashvara baunoñ ko ye hai ki sadā had meñ raheñ
aur bhūleñ na ki haiñ kitne qad-āvar ham log
sāzisheñ ham ko Dubone kī rachātā hai adū
ai 'zakī' kah do ki haiñ ḳhuub shanāvar ham log
aql-o-danish mein kisi se nahin kamtar hum log
waqt waqif hai ki hain kitne qad-awar hum log
kaise Dar jaenge dhamki se teri ai nadan
kya tu waqif nahin hain kitne dilawar hum log
hum musalman hain aur paDhte hain haq ka kalima
sari duniya ke taqabul mein hain bartar hum log
garche muflis hain magar daulat-e-din rakhte hain
dekh kar hum ko na samjhen ki hain kamtar hum log
samne lashkar-e-baatil tha hazaron ka magar
DaT gae haq ke liye bas the bahattar hum log
mashwara baunon ko ye hai ki sada had mein rahen
aur bhulen na ki hain kitne qad-awar hum log
sazishen hum ko Dubone ki rachata hai adu
ai 'zaki' kah do ki hain KHub shanawar hum log
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 68)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.