are KHuda ke bande KHud ko rab ki samt moD to
are ḳhudā ke bande ḳhud ko rab kī samt moḌ to
vajūd baḳhshā jis ne tujh ko rishta us se joḌ to
baḌī hī sahal-o-āsāñ zindagī ho jā.egī tirī
tū ittibā.a-e-ḳhvāhishāt-e-zindagī ko chhoḌ to
jo lambe lambe ḳhvāb dekh rakhe haiñ bharam hai mahz
hai aql-mand tū agar to is bharam ko toḌ to
hai muddatoñ se tere intizār meñ bhī ik lahad
bhalā.ī chāhe vaañ to nafs apnā kuchh maroḌ tū
javāb denā chāhe gar tū munkar-o-nakīr ko
tū fikr-e-āḳhirat meñ apne aap ko nichoḌ to
are KHuda ke bande KHud ko rab ki samt moD to
wajud baKHsha jis ne tujh ko rishta us se joD to
baDi hi sahal-o-asan zindagi ho jaegi teri
tu ittibaa-e-KHwahishat-e-zindagi ko chhoD to
jo lambe lambe KHwab dekh rakhe hain bharam hai mahz
hai aql-mand tu agar to is bharam ko toD to
hai muddaton se tere intizar mein bhi ek lahad
bhalai chahe wan to nafs apna kuchh maroD tu
jawab dena chahe gar tu munkar-o-nakir ko
tu fikr-e-aKHirat mein apne aap ko nichoD to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.