are ulTe zamane mujh pe kya sidha sitam laya
are ulTe zamāne mujh pe kyā sīdhā sitam laayā
nayan mere the pī kā ghar so rū-e-hijr dikhlāyā
chaman kā shahr fasl-e-gul meñ jab ābād thā 'uzlat'
sabā ke rañg meñ gul-gasht kar hazz-e-junūñ paayā
jo dekhūñ jā ḳhizāñ meñ haa.e ḳhāristān o patjhaḌ thā
na ġhunche the na gul ne bulbuleñ ne bed kā saayā
bahut se zaaġh o chuġhdoñ kā thā ġhul ġhauġhoñ kā ġhauġhā thā
falak kī jaan ko ro kar maiñ apnā sar le phir aayā
are ulTe zamane mujh pe kya sidha sitam laya
nayan mere the pi ka ghar so ru-e-hijr dikhlaya
chaman ka shahr fasl-e-gul mein jab aabaad tha 'uzlat'
saba ke rang mein gul-gasht kar hazz-e-junun paya
jo dekhun ja KHizan mein hae KHaristan o patjhaD tha
na ghunche the na gul ne bulbulen ne bed ka saya
bahut se zagh o chughdon ka tha ghul ghaughon ka ghaugha tha
falak ki jaan ko ro kar main apna sar le phir aaya
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.