arsa-e-har-do-jahan aalam-e-tanhai hai
arsa-e-har-do-jahāñ ālam-e-tanhā.ī hai
ki jidhar dekhiye tū hai tirī yaktā.ī hai
be-niyāzī hai ḳhud-ārā.ī hai ḳhud-rā.ī hai
aap kī jaane balā kaun tamannā.ī hai
paate haiñ lutf-e-hayāt-e-abadī tere shahīd
zab.h karnā tirā ejāz-e-masīhā.ī hai
tum ko 'kaifī' se ta.alluq to na hogā lekin
jān-pahchān mulāqāt shanāsā.ī hai
arsa-e-har-do-jahan aalam-e-tanhai hai
ki jidhar dekhiye tu hai teri yaktai hai
be-niyazi hai KHud-arai hai KHud-rai hai
aap ki jaane bala kaun tamannai hai
pate hain lutf-e-hayat-e-abadi tere shahid
zabh karna tera ejaz-e-masihai hai
tum ko 'kaifi' se talluq to na hoga lekin
jaan-pahchan mulaqat shanasai hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 261)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.