arsh-o-kursi pa kya KHuda milta
arsh-o-kursī pa kyā ḳhudā miltā
aage baḌhte to kuchh pata miltā
zar milā ghar milā ġhulām milā
maiñ na miltā to tum ko kyā miltā
ġhair se mil ke kyā liyā tum ne
ham se milte to kuchh maza miltā
āshiqī se milegā ai zāhid
bandagī se nahīñ ḳhudā miltā
ik na ik ham lagā.e rakhte haiñ
tum na milte to dūsrā miltā
roz ik dil-lagī na.ī hotī
roz ik dil mujhe nayā miltā
tum ko ye mil gayā hai qismat se
'dāġh' sā varna dūsrā miltā
arsh-o-kursi pa kya KHuda milta
aage baDhte to kuchh pata milta
zar mila ghar mila ghulam mila
main na milta to tum ko kya milta
ghair se mil ke kya liya tum ne
hum se milte to kuchh maza milta
aashiqi se milega ai zahid
bandagi se nahin KHuda milta
ek na ek hum lagae rakhte hain
tum na milte to dusra milta
roz ek dil-lagi nai hoti
roz ek dil mujhe naya milta
tum ko ye mil gaya hai qismat se
'dagh' sa warna dusra milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.