arz-e-naz-e-shoKHi-e-dandan barae-KHanda hai
arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ barā.e-ḳhanda hai
dāvā-e-jam'iyyat-e-ahbāb jā-e-ḳhanda hai
hai adam meñ ġhuncha mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gul
yak-jahāñ zaanū ta.ammul dar-qafā-e-ḳhanda hai
kulfat-e-afsurdagī ko aish-e-betābī harām
varna dandāñ dar dil afshurdan binā-e-ḳhanda hai
shorish-e-bātin ke haiñ ahbāb munkir varna yaañ
dil muhīt-e-girya o lab āshnā-e-ḳhanda hai
ḳhud-faroshī-hā-e-hastī bas-ki jā-e-ḳhanda hai
har shikast-e-qīmat-e-dil meñ sadā-e-ḳhanda hai
naqsh-e-ibrat dar nazar yā naqd-e-ishrat dar bisāt
do-jahāñ vus'at ba-qadr-e-yak-fa.zā-e-ḳhanda hai
jā-e-istihzā hai ishrat-koshi-e-hastī 'asad'
sub.h o shabnam fursat-e-nashv-o-numā-e-ḳhanda hai
arz-e-naz-e-shoKHi-e-dandan barae-KHanda hai
dawa-e-jam'iyyat-e-ahbab ja-e-KHanda hai
hai adam mein ghuncha mahw-e-ibrat-e-anjam-e-gul
yak-jahan zanu tammul dar-qafa-e-KHanda hai
kulfat-e-afsurdagi ko aish-e-betabi haram
warna dandan dar dil afshurdan bina-e-KHanda hai
shorish-e-baatin ke hain ahbab munkir warna yan
dil muhit-e-girya o lab aashna-e-KHanda hai
KHud-faroshi-ha-e-hasti bas-ki ja-e-KHanda hai
har shikast-e-qimat-e-dil mein sada-e-KHanda hai
naqsh-e-ibrat dar nazar ya naqd-e-ishrat dar bisat
do-jahan wus'at ba-qadr-e-yak-faza-e-KHanda hai
ja-e-istihza hai ishrat-koshi-e-hasti 'asad'
subh o shabnam fursat-e-nashw-o-numa-e-KHanda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.