Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

arz-o-sama fareb na ye bahr-o-bar fareb

Rustam Nami

arz-o-sama fareb na ye bahr-o-bar fareb

Rustam Nami

MORE BYRustam Nami

    arz-o-samā fareb na ye bahr-o-bar fareb

    hai asl meñ ye saarā fareb-e-nazar fareb

    pahle se ham gazīda-e-ahbāb haiñ bahut

    is par ye mustazād ho bhī agar fareb

    kis kis ko ro.eñ kūcha-e-be-e'tibār meñ

    chārā fareb hai to kabhī chārāgar fareb

    bāñdhā thā jo bhī ghar se vo zambīl meñ nahīñ

    āḳhir ko de gayā hameñ zād-e-safar fareb

    bāteñ hamārī aur to sab Thiik haiñ magar

    haiñ un ke darmiyāñ ye agar aur magar fareb

    hote haiñ aadmī se ye mānūs bhī bahut

    dete haiñ ek din yahī dīvār-o-dar fareb

    kyā kuchh nahīñ fareb jahān-e-fareb meñ

    ye merā ijz aur tirā karr-o-far fareb

    'nāmī' ye sab fareb fareb-e-fareb hai

    'nāmī' idhar fareb hai 'nāmī' udhar fareb

    arz-o-sama fareb na ye bahr-o-bar fareb

    hai asl mein ye sara fareb-e-nazar fareb

    pahle se hum gazida-e-ahbab hain bahut

    is par ye mustazad ho tu bhi agar fareb

    kis kis ko roen kucha-e-be-e'tibar mein

    chaara fareb hai to kabhi chaaragar fareb

    bandha tha jo bhi ghar se wo zambil mein nahin

    aaKHir ko de gaya hamein zad-e-safar fareb

    baaten hamari aur to sab Thik hain magar

    hain un ke darmiyan ye agar aur magar fareb

    hote hain aadmi se ye manus bhi bahut

    dete hain ek din yahi diwar-o-dar fareb

    kya kuchh nahin fareb jahan-e-fareb mein

    ye mera ijz aur tera karr-o-far fareb

    'nami' ye sab fareb fareb-e-fareb hai

    'nami' idhar fareb hai 'nami' udhar fareb

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now