asas tak pahunch gain hawas tak pahunch gain
asaas tak pahuñch ga.iiñ havās tak pahuñch ga.iiñ
nasīb kī siyāhiyāñ libās tak pahuñch ga.iiñ
bas ek sard aah se laboñ pe niil paḌ ga.e
hamārī nā-rasā.iyāñ hirās tak pahuñch ga.iiñ
phir aa.e din kī dushmanī mohabbatoñ meñ Dhal ga.ī
ki ghaTtī ghaTtī talḳhiyāñ miThās tak pahuñch ga.iiñ
ye ishq aur mushk bhī chhupā.e kab chhape bhalā
nikal ke sab kahāniyāñ class tak pahuñch ga.iiñ
hamāre dukh kī barkateñ saheliyoñ ne buujh liiñ
aur un kī ḳhush-kalāmiyāñ bhaḌās tak pahuñch ga.iiñ
mire suḳhan meñ Dhal ga.ī mire dukhoñ kī dāstāñ
tire junūñ kī talḳhiyāñ gilās tak pahuñch ga.iiñ
thakan ke saare zāviye masahriyoñ pe rah ga.e
badan kī saarī silvaTeñ kapās tak pahuñch ga.iiñ
mire rahīm aap kī atā.eñ be-shumār haiñ
shurūa hamd se huiiñ to naas tak pahuñch ga.iiñ
asas tak pahunch gain hawas tak pahunch gain
nasib ki siyahiyan libas tak pahunch gain
bas ek sard aah se labon pe nil paD gae
hamari na-rasaiyan hiras tak pahunch gain
phir aae din ki dushmani mohabbaton mein Dhal gai
ki ghaTti ghaTti talKHiyan miThas tak pahunch gain
ye ishq aur mushk bhi chhupae kab chhape bhala
nikal ke sab kahaniyan class tak pahunch gain
hamare dukh ki barkaten saheliyon ne bujh lin
aur un ki KHush-kalamiyan bhaDas tak pahunch gain
mere suKHan mein Dhal gai mere dukhon ki dastan
tere junun ki talKHiyan gilas tak pahunch gain
thakan ke sare zawiye masahriyon pe rah gae
badan ki sari silwaTen kapas tak pahunch gain
mere rahim aap ki ataen be-shumar hain
shurua hamd se huin to nas tak pahunch gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.