asad hum wo junun-jaulan gada-e-be-sar-o-pa hain
'asad' ham vo junūñ-jaulāñ gadā-e-be-sar-o-pā haiñ
ki hai sar-panja-e-mizhgān-e-āhū pusht-ḳhār apnā
na bhūlā iztirāb-e-dam-shumārī intizār apnā
ki āḳhir shīsha-e-sā.at ke kaam aaya ġhubār apnā
zi-bas ātish ne fasl-e-rang meñ rang-e-digar paayā
charāġh-e-gul se DhūñDhe hai chaman meñ sham.a ḳhaar apnā
asīr-e-be-zabāñ huuñ kaash ke sayyād-e-be-parvā
ba-dām-e-jauhar-e-ā.īna ho jaave shikār apnā
magar ho māne-e-dāman-kushī zauq-e-ḳhud-ārā.ī
huā hai naqsh-band ā.īna-e-sang-e-mazār apnā
dareġh ai nā-tavānī varna ham zabt-āshnāyāñ ne
tilism-e-rang meñ bāñdhā thā ahd-e-ustuvār apnā
agar āsūdgī hai mudda.ā-e-ranj-e-betābi
niyāz-e-gardish-e-paimāna-e-mai rozgār apnā
'asad' hum wo junun-jaulan gada-e-be-sar-o-pa hain
ki hai sar-panja-e-mizhgan-e-ahu pusht-KHar apna
na bhula iztirab-e-dam-shumari intizar apna
ki aaKHir shisha-e-saat ke kaam aaya ghubar apna
zi-bas aatish ne fasl-e-rang mein rang-e-digar paya
charagh-e-gul se DhunDhe hai chaman mein shama KHar apna
asir-e-be-zaban hun kash ke sayyaad-e-be-parwa
ba-dam-e-jauhar-e-aina ho jawe shikar apna
magar ho mane-e-daman-kushi zauq-e-KHud-arai
hua hai naqsh-band aaina-e-sang-e-mazar apna
daregh ai na-tawani warna hum zabt-ashnayan ne
tilism-e-rang mein bandha tha ahd-e-ustuwar apna
agar aasudgi hai muddaa-e-ranj-e-betabi
niyaz-e-gardish-e-paimana-e-mai rozgar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.