asar-e-ah-e-na-rasa dekho
asar-e-āh-e-nā-rasā dekho
ab huā chāhtā hai kyā dekho
vah.y nāzil huī mohabbat kī
phir huā mehrbāñ ḳhudā dekho
ham vahīñ aa ga.e haiñ phir shāyad
ye jagah bhī hai āshnā dekho
baḌh ga.ī aur bhī tasarruf se
daulat-e-naġhma-o-navā dekho
rāh-e-taḳhlīq kī 'hamīd-almās’
ibtidā hai na intihā dekho
asar-e-ah-e-na-rasa dekho
ab hua chahta hai kya dekho
wahy nazil hui mohabbat ki
phir hua mehrban KHuda dekho
hum wahin aa gae hain phir shayad
ye jagah bhi hai aashna dekho
baDh gai aur bhi tasarruf se
daulat-e-naghma-o-nawa dekho
rah-e-taKHliq ki 'hamid-almas’
ibtida hai na intiha dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.