asar-e-soz-e-gham dikhae ja
asar-e-soz-e-ġham dikhā.e jā
dil ke jazbāt āzmā.e jā
mast āñkhoñ kā vāsta saaqī
maiñ piye jā.ūñ tū pilā.e jā
maiñ tire zulm ko bhī lutf kahūñ
tū mujhe be-vafā banā.e jā
jo mohabbat ko jāvedāñ kar de
sāz-e-dil par vo giit gaa.e jā
na dikhā jalva-e-jamāl magar
apnī dilkash sadā sunā.e jā
'dard' terā hai 'dard' kā tū hai
ai ġham-e-dost rang laa.e jā
asar-e-soz-e-gham dikhae ja
dil ke jazbaat aazmae ja
mast aankhon ka wasta saqi
main piye jaun tu pilae ja
main tere zulm ko bhi lutf kahun
tu mujhe be-wafa banae ja
jo mohabbat ko jawedan kar de
saz-e-dil par wo git gae ja
na dikha jalwa-e-jamal magar
apni dilkash sada sunae ja
'dard' tera hai 'dard' ka tu hai
ai gham-e-dost rang lae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.