ashaar mein mafhum fasane mein kahani
ash.ār meñ mafhūm fasāne meñ kahānī
mat DhūñD ki uljhāte haiñ alfāz-o-ma.ānī
sad shukr vo ta.abīr se mashrūt nahīñ thiiñ
bachpan meñ sunā karte the jo ḳhvāb kahānī
vo zindagī jo paane aur khone se sivā ho
zeb us ko nahīñ detī kabhī marsiya-ḳhvānī
fitrat ke taqāze pe na kar rāh-e-amal band
iqbāl kī ye baat kisī ne bhī na maanī
takmīl-e-junūñ ab bhī hai is misre se mashrūt
ai chāñd mubārak ho tujhe raat suhānī
ḳhush-hāliyāñ dehlī kī bajā aaj bhī lekin
yaad aatī hai kalkatte kī vo shoḳh javānī
pardes meñ bas zehn se ābād hai 'āsim'
dil se nahīñ kar paayā kabhī naql-e-makānī
ashaar mein mafhum fasane mein kahani
mat DhunD ki uljhate hain alfaz-o-maani
sad shukr wo tabir se mashrut nahin thin
bachpan mein suna karte the jo KHwab kahani
wo zindagi jo pane aur khone se siwa ho
zeb us ko nahin deti kabhi marsiya-KHwani
fitrat ke taqaze pe na kar rah-e-amal band
iqbaal ki ye baat kisi ne bhi na mani
takmil-e-junun ab bhi hai is misre se mashrut
ai chand mubarak ho tujhe raat suhani
KHush-haaliyan dehli ki baja aaj bhi lekin
yaad aati hai kalkatte ki wo shoKH jawani
pardes mein bas zehn se aabaad hai 'asim'
dil se nahin kar paya kabhi naql-e-makani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.