ashk aankh mein phir aTak raha hai
ashk aañkh meñ phir aTak rahā hai
kankar sā koī khaTak rahā hai
maiñ us ke ḳhayāl se gurezāñ
vo merī sadā jhaTak rahā hai
tahrīr usī kī hai magar dil
ḳhat paḌhte hue aTak rahā hai
haiñ phone pe kis ke saath bāteñ
aur zehn kahāñ bhaTak rahā hai
sadiyoñ se safar meñ hai samundar
sāhil pe thakan Tapak rahā hai
ik chāñd salīb-e-shāḳh-e-gul par
baalī kī tarah laTak rahā hai
ashk aankh mein phir aTak raha hai
kankar sa koi khaTak raha hai
main us ke KHayal se gurezan
wo meri sada jhaTak raha hai
tahrir usi ki hai magar dil
KHat paDhte hue aTak raha hai
hain phone pe kis ke sath baaten
aur zehn kahan bhaTak raha hai
sadiyon se safar mein hai samundar
sahil pe thakan Tapak raha hai
ek chand salib-e-shaKH-e-gul par
baali ki tarah laTak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.