ashk aankhon mein kyon be-karan aa gae
ashk āñkhoñ meñ kyoñ be-karāñ aa ga.e
kyā tumheñ yaad ham jān-e-jāñ aa ga.e
ye qafas hai hamārā nasheman nahīñ
ham chaman se nikal kar kahāñ aa ga.e
dostoñ kī tamanna meñ nikle the ham
dushmanoñ ke magar darmiyāñ aa ga.e
ham ko piine pilāne kī 'ādat nahīñ
ham to bas yūñhī pīr-e-muġhāñ aa ga.e
ham ko duniyā kī ḳhvāhish nahīñ thī magar
terī bātoñ meñ ham āsmāñ aa ga.e
ashk aankhon mein kyon be-karan aa gae
kya tumhein yaad hum jaan-e-jaan aa gae
ye qafas hai hamara nasheman nahin
hum chaman se nikal kar kahan aa gae
doston ki tamanna mein nikle the hum
dushmanon ke magar darmiyan aa gae
hum ko pine pilane ki 'adat nahin
hum to bas yunhi pir-e-mughan aa gae
hum ko duniya ki KHwahish nahin thi magar
teri baaton mein hum aasman aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.