ashk aankhon se Dhalte dekha hai
ashk āñkhoñ se Dhalte dekhā hai
zindagī ko machalte dekhā hai
gardish-e-vaqt kab rukī lekin
us ko pahlū badalte dekhā hai
dam pe un ke karam kī yūrish meñ
kis ne dam ko nikalte dekhā hai
aas kī jot dil kī garmī meñ
saare ehsās palte dekhā hai
jin ko duniyā kī har ḳhushī hai milī
haath un ko bhī malte dekhā hai
band āñkhoñ meñ terā husn-e-ḳhayāl
tujh ko har samt chalte dekhā hai
'dil-navāz' ātish-e-talab hī to thī
jis meñ tum ko bhī jalte dekhā hai
ashk aankhon se Dhalte dekha hai
zindagi ko machalte dekha hai
gardish-e-waqt kab ruki lekin
us ko pahlu badalte dekha hai
dam pe un ke karam ki yurish mein
kis ne dam ko nikalte dekha hai
aas ki jot dil ki garmi mein
sare ehsas palte dekha hai
jin ko duniya ki har KHushi hai mili
hath un ko bhi malte dekha hai
band aankhon mein tera husn-e-KHayal
tujh ko har samt chalte dekha hai
'dil-nawaz' aatish-e-talab hi to thi
jis mein tum ko bhi jalte dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.