Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata

Mohsin Naqvi

ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ashk apnā ki tumhārā nahīñ dekhā jaatā

    abr zad meñ sitārā nahīñ dekhā jaatā

    apnī shah-e-rag lahū tan meñ ravāñ hai jab tak

    zer-e-ḳhanjar koī pyārā nahīñ dekhā jaatā

    mauj-dar-mauj ulajhne havas be-ma.anī

    Dūbtā ho to sahārā nahīñ dekhā jaatā

    tere chehre kashish thī ki palaT kar dekhā

    varna sūraj to dobāra nahīñ dekhā jaatā

    aag zid pe na phir se bhaḌak saktī hai

    raakh tah meñ sharāra nahīñ dekhā jaatā

    zaḳhm āñkhoñ ke bhī sahte the kabhī dil vaale

    ab to abrū ishārā nahīñ dekhā jaatā

    kyā qayāmat hai ki dil jis nagar hai 'mohsin'

    dil pe us bhī ijāra nahīñ dekhā jaatā

    ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata

    abr ki zad mein sitara nahin dekha jata

    apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak

    zer-e-KHanjar koi pyara nahin dekha jata

    mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani

    Dubta ho to sahaara nahin dekha jata

    tere chehre ki kashish thi ki palaT kar dekha

    warna suraj to dobara nahin dekha jata

    aag ki zid pe na ja phir se bhaDak sakti hai

    rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata

    zaKHm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale

    ab to abru ka ishaara nahin dekha jata

    kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin'

    dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Bharti Vishvanathan

    Bharti Vishvanathan

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 663)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now