ashk apne liye aur dard zamane ke liye
ashk apne liye aur dard zamāne ke liye
aise kuchh ḳhvāb the bas mujh ko miTāne ke liye
maiñ ne har samt taḌapte hue shab kaaTī hai
ek dāman to mile aañsū chhupāne ke liye
un ko jaate hue dekhūñ ye mire bas meñ nahīñ
lā.ūñ dil kaun sā maiñ ḳhud ko manāne ke liye
mere dushman ko bhī itnā to yaqīñ hai mujh par
chhoḌ jaatā hai vo bachchoñ ko khilāne ke liye
mujh ko is raat kī tanhā.ī se Dar lagtā hai
baat ho kaun sī Dar apnā dabāne ke liye
aaj bhī yaad hai qissa unheñ biite kal kā
rokā mujh ko bhī thā kuchh baat banāne ke liye
ashk apne liye aur dard zamane ke liye
aise kuchh KHwab the bas mujh ko miTane ke liye
main ne har samt taDapte hue shab kaTi hai
ek daman to mile aansu chhupane ke liye
un ko jate hue dekhun ye mere bas mein nahin
laun dil kaun sa main KHud ko manane ke liye
mere dushman ko bhi itna to yaqin hai mujh par
chhoD jata hai wo bachchon ko khilane ke liye
mujh ko is raat ki tanhai se Dar lagta hai
baat ho kaun si Dar apna dabane ke liye
aaj bhi yaad hai qissa unhen bite kal ka
roka mujh ko bhi tha kuchh baat banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.