ashk baqi koi ab dida-e-giryan mein nahin
ashk baaqī koī ab dīda-e-giryāñ meñ nahīñ
phir bhī to koī kamī sozish-e-pinhāñ meñ nahīñ
aarzū mujh ko kisī shāhid-e-gul kī kyā ḳhuub
merī qismat ke to kāñTe bhī gulistāñ meñ nahīñ
fasl-e-gul aa.ī to kyā haif pa.e nazr-e-bahār
ab to ik taar bhī baaqī mire dāmāñ meñ nahīñ
zauq-e-nazzāra pe hai azmat-e-jalva mauqūf
dilkashī varna koī jalva-e-jānāñ meñ nahīñ
sāhab-e-ilm-o-fan-o-fikr-o-nazar hai 'at.har'
rabt-e-bāham magar is daur ke insāñ meñ nahīñ
ashk baqi koi ab dida-e-giryan mein nahin
phir bhi to koi kami sozish-e-pinhan mein nahin
aarzu mujh ko kisi shahid-e-gul ki kya KHub
meri qismat ke to kanTe bhi gulistan mein nahin
fasl-e-gul aai to kya haif pae nazr-e-bahaar
ab to ek tar bhi baqi mere daman mein nahin
zauq-e-nazzara pe hai azmat-e-jalwa mauquf
dilkashi warna koi jalwa-e-jaanan mein nahin
sahab-e-ilm-o-fan-o-fikr-o-nazar hai 'athar'
rabt-e-baham magar is daur ke insan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.