ashk bahao aah bharo fariyaad karo
ashk bahāo aah bharo fariyād karo
kuchh to qafas meñ shikva-e-istibdād karo
har-sū marg-āsār ḳhamoshī chhā.ī hai
dard ke maaro shorish-e-hashr ījād karo
sahrā sahrā ḳhaak uḌāne se hāsil
qarya qarya qasr-e-sitam barbād karo
arz-e-tamannā par ab qadġhan kyā ma.anī
apne va.ade apnī qasmeñ yaad karo
aao āvāra-o-gurezāñ ummīdo
ghar kī vīrānī ko phir ābād karo
shauq-e-talab hī avval-o-āḳhir manzil hai
qais bano yā pairvī-e-farhād karo
auroñ ko tarġhīb-e-tarab dene vaalo
ham aise durveshoñ ko bhī shaad karo
ashk bahao aah bharo fariyaad karo
kuchh to qafas mein shikwa-e-istibdad karo
har-su marg-asar KHamoshi chhai hai
dard ke maro shorish-e-hashr ijad karo
sahra sahra KHak uDane se hasil
qarya qarya qasr-e-sitam barbaad karo
arz-e-tamanna par ab qadghan kya mani
apne wade apni qasmen yaad karo
aao aawara-o-gurezan ummido
ghar ki virani ko phir aabaad karo
shauq-e-talab hi awwal-o-aKHir manzil hai
qais bano ya pairwi-e-farhad karo
auron ko targhib-e-tarab dene walo
hum aise durweshon ko bhi shad karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.