ashk-e-alam hai sozish-e-pinhan liye hue

ashk-e-alam hai sozish-e-pinhan liye hue
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ashk-e-alam hai sozish-e-pinhāñ liye hue
qatra hai apne zarf meñ tūfāñ liye hue
paidā kareñge ishq se ham ḳhud ilāj-e-ishq
baiThe raheñ vo dard kā darmāñ liye hue
hai terī baḳhshishoñ kā yaqīñ be-gumāñ magar
ham haiñ malāl tañgī-e-dāmāñ liye hue
ishrat kī vādiyoñ se guzartā chalā gayā
paiham fareb-e-umr-e-gurezāñ liye hue
vo paikar hijāb yahāñ aa.e kis tarah
ham haiñ hujūm-e-hasrat-o-armāñ liye hue
ye kaun aa rahā hai sar-e-shām ai 'sahar'
chehre pe nūr-e-sub.h-e-bahārāñ liye hue
ashk-e-alam hai sozish-e-pinhan liye hue
qatra hai apne zarf mein tufan liye hue
paida karenge ishq se hum KHud ilaj-e-ishq
baiThe rahen wo dard ka darman liye hue
hai teri baKHshishon ka yaqin be-guman magar
hum hain malal tangi-e-daman liye hue
ishrat ki wadiyon se guzarta chala gaya
paiham fareb-e-umr-e-gurezan liye hue
wo paikar hijab yahan aae kis tarah
hum hain hujum-e-hasrat-o-arman liye hue
ye kaun aa raha hai sar-e-sham ai 'sahar'
chehre pe nur-e-subh-e-bahaaran liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.