ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut
ashk-e-ġham āñkhoñ ne barsāyā bahut
jaane kyuuñ un kā ḳhayāl aayā bahut
us ko diiñ ham ne duā.eñ bār-hā
zindagī meñ jis ne taḌpāyā bahut
jis ko apnā dil samajhte the use
apnā kam aur aap kā paayā bahut
ban ke rāz-e-zindagī dil meñ rahe
zindagī meñ phir bhī tarsāyā bahut
daulat o hashmat pe nāzāñ ho koī
hai hameñ to dil kā sarmāyā bahut
dhuup kī saḳhtī to thī lekin 'farāz'
zindagī meñ phir bhī thā saaya bahut
ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut
jaane kyun un ka KHayal aaya bahut
us ko din hum ne duaen bar-ha
zindagi mein jis ne taDpaya bahut
jis ko apna dil samajhte the use
apna kam aur aap ka paya bahut
ban ke raaz-e-zindagi dil mein rahe
zindagi mein phir bhi tarsaya bahut
daulat o hashmat pe nazan ho koi
hai hamein to dil ka sarmaya bahut
dhup ki saKHti to thi lekin 'faraaz'
zindagi mein phir bhi tha saya bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.