ashk-e-gham uqda-kusha-e-KHalish-e-jaan nikla
ashk-e-ġham uqda-kushā-e-ḳhalish-e-jāñ niklā
jis ko dushvār maiñ samjhā thā vo āsāñ niklā
kis qadar dast-e-junūñ be-sar-o-sāmāñ niklā
tujh maiñ ik taar na ai chāk-girebāñ niklā
uf vo taqdīr jo tadbīr kī pāband rahī
haif vo dard jo minnat-kash-e-darmāñ niklā
ḳhaak ho kar bhī rahā jalva-tarāzī kā dimāġh
merā har zarra-e-dil tūr-badāmāñ niklā
al-amāñ vo ḳhalish-e-jāñ jo miTā.e na miTī
haa.e vo dam jo ba-sad-kāvish-e-pinhāñ niklā
ashk-e-gham uqda-kusha-e-KHalish-e-jaan nikla
jis ko dushwar main samjha tha wo aasan nikla
kis qadar dast-e-junun be-sar-o-saman nikla
tujh main ek tar na ai chaak-gireban nikla
uf wo taqdir jo tadbir ki paband rahi
haif wo dard jo minnat-kash-e-darman nikla
KHak ho kar bhi raha jalwa-taraazi ka dimagh
mera har zarra-e-dil tur-badaman nikla
al-aman wo KHalish-e-jaan jo miTae na miTi
hae wo dam jo ba-sad-kawish-e-pinhan nikla
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 522)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.