ashk-e-rawan ki nahr hai aur hum hain dosto
ashk-e-ravāñ kī nahr hai aur ham haiñ dosto
us bevafā kā shahr hai aur ham haiñ dosto
ye ajnabī sī manzileñ aur raftagāñ kī yaad
tanhā.iyoñ kā zahr hai aur ham haiñ dosto
laa.ī hai ab uḌā ke ga.e mausamoñ kī baas
barkhā kī rut kā qahr hai aur ham haiñ dosto
phirte haiñ misl-e-mauj-e-huā shahr shahr meñ
āvārgī kī lahr hai aur ham haiñ dosto
shām-e-alam Dhalī to chalī dard kī havā
rātoñ kī pichhlā pahr hai aur ham haiñ dosto
āñkhoñ meñ uḌ rahī hai luTī mahfiloñ kī dhuul
ibrat-sarā-e-dahr hai aur ham haiñ dosto
ashk-e-rawan ki nahr hai aur hum hain dosto
us bewafa ka shahr hai aur hum hain dosto
ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad
tanhaiyon ka zahr hai aur hum hain dosto
lai hai ab uDa ke gae mausamon ki bas
barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto
phirte hain misl-e-mauj-e-hua shahr shahr mein
aawargi ki lahr hai aur hum hain dosto
sham-e-alam Dhali to chali dard ki hawa
raaton ki pichhla pahr hai aur hum hain dosto
aankhon mein uD rahi hai luTi mahfilon ki dhul
ibrat-sara-e-dahr hai aur hum hain dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.