ashk in sipiyon mein bhar jaen
ashk in sīpiyoñ meñ bhar jaa.eñ
to vahāñ Dūbne guhar jaa.eñ
ḳhāmushī ab tirī vazāhat ko
tere mimbar se ham utar jaa.eñ
dasht sab ke liye nahīñ vahshat
kuchh talabgār apne ghar jaa.eñ
rāste mere paas baiTh raheñ
fāsle duur se guzar jaa.eñ
titliyāñ rañg jhaaḌ leñ apne
phir tire hoñT par utar jaa.eñ
ham bhī dariyā ke nā-dahinda haiñ
kashtiyāñ chhoḌ kar kidhar jaa.eñ
rā.egānī pe fātiha kahne
ham suhūlat kī qabr par jaa.eñ
zo.am shorīdgī ke maare hue
lafz āvāz par utar jaa.eñ
aaj bas ḳhāl-o-ḳhad uThā.e chaleñ
ḳhvāhisheñ ā.inoñ meñ dhar jaa.eñ
tū koī maz.haka nahīñ hai ki ham
dastaras meñ ḳhudā kī mar jaa.eñ
nā-rasā.ī kī chaah meñ 'ārish'
ābla-pā mire safar jaa.eñ
ashk in sipiyon mein bhar jaen
to wahan Dubne guhar jaen
KHamushi ab teri wazahat ko
tere mimbar se hum utar jaen
dasht sab ke liye nahin wahshat
kuchh talabgar apne ghar jaen
raste mere pas baiTh rahen
fasle dur se guzar jaen
titliyan rang jhaD len apne
phir tere honT par utar jaen
hum bhi dariya ke na-dahinda hain
kashtiyan chhoD kar kidhar jaen
raegani pe fatiha kahne
hum suhulat ki qabr par jaen
zoam shoridgi ke mare hue
lafz aawaz par utar jaen
aaj bas KHal-o-KHad uThae chalen
KHwahishen aainon mein dhar jaen
tu koi mazhaka nahin hai ki hum
dastaras mein KHuda ki mar jaen
na-rasai ki chah mein 'arish'
aabla-pa mere safar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.