Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk Tapke haal dil ka khul gaya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

ashk Tapke haal dil ka khul gaya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    ashk Tapke haal dil khul gayā

    dīda-e-giryāñ se parda khul gayā

    dil se umDe ashk-e-ḳhūñ āñkhoñ raah

    josh-e-mai se ḳhum Dhaknā khul gayā

    kūcha-e-jānāñ miltī thī na raah

    band kiiñ āñkheñ to rasta khul gayā

    har girah meñ us ke the āshiq ke dil

    zulf ke khulte uqda khul gayā

    nargis-e-jādū hai ab ālam-fareb

    zulf logoñ pe laTkā khul gayā

    jaan kar anqā kamar ko yaar ke

    zulf ne phāñsā thā phandā khul gayā

    aaj kyūñkar ho ḳhabar us ko 'nasīm'

    sher paḌhne bhī fiqrā khul gayā

    ashk Tapke haal dil ka khul gaya

    dida-e-giryan se parda khul gaya

    dil se umDe ashk-e-KHun aankhon ki rah

    josh-e-mai se KHum ka Dhakna khul gaya

    kucha-e-jaanan ki milti thi na rah

    band kin aankhen to rasta khul gaya

    har girah mein us ke the aashiq ke dil

    zulf ke khulte hi uqda khul gaya

    nargis-e-jadu hai ab aalam-fareb

    zulf ka logon pe laTka khul gaya

    jaan kar anqa kamar ko yar ke

    zulf ne phansa tha phanda khul gaya

    aaj kyunkar ho KHabar us ko 'nasim'

    sher paDhne ka bhi fiqra khul gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now